Wednesday 17 July 2013

AgniVarsha - The Incomplite Love Story

Update 9 


class khatam hone ke baad agni wahan se jagu aur deva ke sath nikalta hai wahin jahan fata fat unke piche bhagti hai aur piche se awaaz deti hai are suno teenon ek sath piche mudke dekte hain deva jagu se kehta hai abe dekha mereko bula rahi hai aur phir deva jahan ko kehta hai aap ne mujhe bulaya jahan kehti hai are nahin mene aap ko nahin inhen bulaya hai kehke agni ke taraf isara karti hai phir jagu kohni se deva ko maar ta hai aur kehta hai abe dekha bandar ye tujhe nahin agni ko bula rahi hai deva chid jata hai aur jagu ke piche bhag ta hai aur kehta hai abe sale kahan bhag raha hai be rukh aaj tere pichwade me danda daal ke hii rahunga rukh sale yahan jahan agni se kehti hai are bade ajeeb ho tum yaar wahan bina bole chale aye aur tum ne mujhe bataya kyun nahin ke tum bhi ishi collage me padhte ho agni kehta hai are aap ne mujhe bolne ka mouka hii kahan diya aur phir collage agaya me let horaha tha to bina bole chala aaya jahan bolti hai tum kehna kya chahte ho kii me bohut sari baten karta hoon agni kehta hai are bohut sari nahin bohut pyari baten karti hain aap jahan kehti hai sach me jaiye chodiye naa aap bhi na meri tang kheech rahe hain agni apne man me kehta hai sali bohut sari tu to pura radio centre hai agr kisike sath adha ghanta bhi ruk jaye to use pagal karde aur sharma to aise rahi hai kii sarmane ka sare copyrights ishi ke paas hain tabhi jahan bolti hai kuch kaha kya tum ne agni kehta hai are nahin nahin wo kya hai na tum jab sharmati ho na badi pyari lagti ho aur agni apne jeebh daba deta hai wahin jahan aur sharma deti hai aur kehti hai aap bohut ache hain jii aur queet bhi phir jahan hass deti hai wahin agni man me sochta hai abe ye mereko kya hogaya be lagta hai iske sath thoda sa waqt gujar ke lagta hai me pagal ho raha hoon agr aur jyada waqt raha to pura pagal ban jaunga wahin jahan apne man me sochti hai bohut hii pyara ladka hai bohut hii achi achi baten karta hai aur waise bhi aaj tak mujse ish tarah kisine baat tak nahin kii sayed mujhse darke aur wo agni se puchti hai are aap ne apka naam nahin bataya yaar agni kehta hai mera naam agni das hai aur wo dono aise hii baat karte karte collage ground ke taraf ane lagte hain aur wahan jagu aur deva bhi bhagte hue ate hain agni jahan ko jagu aur deva se introduce karwa ta hai jahan jagu se hath milati hai aur deva se hath milane ke liye hath badhati hai deva apna hath sidha lejakar jagu ke tshirt se poch deta hai aur jahan se hath milata hai jagu kehta hai abe sale ye kya kiya tune deva kehta hai are mera hath thoda sa ganda tha aur in jaisi pyari ladki se hath milane ke liye hath pochna tha na aur sabhi hasne lagte hain tabhi wahan rocky ajata hai rocky bachpan se hii agni ka competitor tha aur unn dono ke bich hamesha ladai hoti thi ek bhi mouka wo apne hath se jane nahin dena chahta tha agni se takkar lene me aur hamesha hii pit ta tha rocky jahan se kehta hai to tum ho wo nayi ladki jahan kehti hai haan kyun kya hua rocky kehta hai are tum nayi ho to tumhari ragging to karni hii padegi bich agni bol padta hai abe sale tu kab se siniour ban gaya sale tu bhi hamari tarah first year student hai mat bhool rocky kehta hai abe mujhe pata tha tu yahi kahega ishiliye me kuch siniours ko apne sath lekar aya hoon piche dekh agni piche dekta hai to kuch siniours piche the wo agni ke paas ake bolte hain abe chal nikal le yahan se nahin to bohut padegi agni unke baat sunke hassne lagta hai aur kehta hai abe sale tum logon ko sharam nahin ati apne juniors ke chamche bane phir te ho un mese ek ladka kehta kya kaha be tune sale deva bolta hai are agni tune inhe chamcha bola naa to inhe bura laga samjhe agni kehta hai abe chamche ko chamcha naa bolun to kya bolun deva kehta hai abe dum bol ya phir pichwada bol ya tabhi jagu kehta hai pichwada chatne wala suar bol sare siniours chid jate hai aur guse me kehte hain maro salon ko agni jagu aur deva teenon jai bajrangbali bolke kud jate hain fight me teenon milke unn siniours aur rocky ko pitne lagte hain wahin collage ke andar khabar pahunch jati hai kii kuch juniors milke siniours kii dhulai kar rahe hain aur siniours bhagke ground ke taraf ane lagte hain aur kud jate hain agni deva aur jagu par siniours in teenon par jab havi hone lagte hain to jahn bhi fight me kud jati hai agni ye dekh jahan se kehta hai jahan tum yahan se jao lekin jahan agni kii baat ko ansuna kar deti hai aur pitne lagti hai buri tarah se ye dekh agni deva jagu to buri tarah se socked ho jate hain aur jahan akele hii unn sabko pitne lagi thi aur phir andar se bohut sare juniors bhagke ate hain kud jate ladhai me aur collage ab collage nahin maidan e jang lag raha tha siniours buri tarah pit rahe the sabse kharab halat to rocky ki thi use jagu aur deva milke buri tarah se pit rahe the aur uske pant aur shirt bhi utar diya tha rocky sirf chadi me tha aur maar kha raha tha jhagde ki khabar princi tak pahunch gayi aur rocky ke dad m.l.a mr mohanty tak bhi princi pure staf ke sath akar ground me pahunch jata hai aur dekhta siniours aur juniors ke bich me jung chidi hui thi bohut se student ghayal ho chuke the kisike sar fat chuka tha to kisi hath tooth chuka tha princi sucurity ko kehta hai roko ish fasad ko sucurity bohut koshish ke baad jagde ko rokne me kamyab ho jate hain aur princi puchta hai kyun hua ye ladai aur phir sari sachai samne ajati hai princi kuch kehta ush se pehle hii collage me m.l.a mr mohanty apne gundon ke sath gushta hai jise dekh princi chup ho jata hai

No comments:

Post a Comment