Sunday 1 September 2013

AgniVarsha - The Incomplite Love Story



Update 35
achanak ush kamre me koi pravesh karta hai or sabki nazar unke or hojati hai yahan tak kii agni bhi unhe ghurne lagta hai agni kii maa jake unke pair pad jati hain or kehti hain maaji ye dekhiye naa hamare agni ko kya hogaya hai wo aurat koi or nahin agni ki dadi arundhati devi thi jinhone agni or suroj ke peda hone ke kuch mahino baad hii ish sansar se sanyas le liya tha or wo himalay chali gai thi lekin jab wo louti to unhone sidhi arjan karliya tha or unke pass bohut sii saktiyan thi jese kii wo kisike bhi sar ke upar hath rakh ke wo uske bhabisya bata sakti thi eshe hii bohut sii saktiyan thi unke pass unka ek ashram tha delhi me wo wahin rehti thi unka parivar kabhi kabhi unko milne wahan jaya karta tha lekin wo kabhi bhi ish ghar me wapis nahin ayi thi lekin ajj bohut salon baad wo yahan ayi thi sayed kisi khass maksad se arundhati devi kehti hai tum daro mat bahu agni ko kuch nahin hoga or phir wo agni kii orrr badh jati hain agni kehta hai app ruk jaiye wahan pe nahin to apke liye acha nahin hoga arundhati devi kehti hain acha to dikha teri taqat me bhi to dekhun akhir tujhme kitni taqat hai phir agni arundhati devi kii or bohut teji se badhta hai or unka gala pakadne kii koshis karta hai lekin arundhati devi bilkul sant wahin khadi thi jab agni arundhati devi ka gardan pakad leta hai to fouran hii unka gardan chekhte hue chod deta hai kyunki arundhati devi ne gale me ek saptamukhi rudraks(seven headed rudraks)dharan kiya tha log kehte hain ye saptamukhi rudraks(seven headed rudraks) itni asani se kisike pass nahin hota or ushe koi sadharan admi dharan nahin kar sakta or ushe dharan kaarne wale ke pass bohut sari daybi saktiyan hoti hain ushike wajah se agni unhe chu bhi nahin paya agni ka hath jal chuka tha rudraks ko chune se wo gusse se arundhati devi ko ghure jaa raha tha arundhati devi kehti hain kyun ayi ho tum yahan agni kehta hai me to ishe bachane ayi thi arundhati devi kehti hai abb wo bach gaya hai tum chali jao yahan se agni kehta hai nahin me nahin jaungi yahan se agr me ishe chod ke chali gayi to wo dubara ish par hamla karenge arundhati devi kehti hain ushki fikr tum mat karo me ishe kuch nahin hone dungi tum chali jao agni kehta hai nahin me ishe chodke kahin nahin jaungi chahe tum kuch bhi karlo phir arundhati devi kuch mantra padhne lagte hain or yahan agni ke hath pair kampne lagte hain or ushke dum ghutne lagte hain or wo kehta hai bassssssss karo ye manta padhna band karo arundhati devi rukk jati hain or kehti hain ek baar phir se keh rahi hoon yahan se chali jao tumhara yahan koi bhai kaam nahin hai apni duniya me lout jao nahin to tumhare liye bohut bura hoga agni kehta hai app samajhti kyun nahin hain mera ushke sath rukkna bohut jaruri hai mujhe ishke sath rukne dijiye me apke per padti hoon mujhe ishke sath rehne dijiye arundhati devi kehti hain nahin ye sambhab nahin hai ab tum ishke sath nahin reh sakte tumhe yahan se jana hii hoga agr tum ishke sarir me ruki to ishki atma ki mout nischit hai ish liye tumhe ishe chod ke jana hoga phir agni kuch der chup rehta hai or phir kehta hai thik hai me jaa rahi hoon lekin apko mujhse ek wada karna hoga kii app ishe kuch bhi hone nahin denge arundhati devi kehti hai tum ishki fikr mat karo me ishe kuch bhi hone nahin dungi phir agni behosh hoke niche gir jata hai arundhati devi kehti hai jaldi se agni ko bahar le aoo or ek khule jagah pe leta do sab agni ko wahan se uthake kamre ke bahar le ate hain or ushe ghar ke andar ek khule jagah pe lita deten hain agni ka bohut sara khoon beh chuka tha ish wajah se agni kii halat bohut kharab ho chuki thi ushka sarir puri tarah se kamjor ho chuka tha ya ye keh sakte hain kii agni ish waqt mout ke kagar pe khada tha sab pareshan khade the deva or jagu ko bhi hosh agaya tha arundhati devi ne jagu ko kaha beta jara bahar mera saman bahar pada hai ushe andar le aoo jagu bhag kar jata hai or sara saman le ata hai arundhati devi jagu ko kehti hain ush safed wali bag me jo bhi chijen hain unhe nikalo jagu wesa hii karta hai arundhati devi agni ke sar par hath rakhti hain or kehti hain lagta hai agni kii jaan bachane ke liye mujhe ushe wo chizzz khilani hogi nahin to agni ko bachana bohut hii mushkil hai or wo apna asan wahin lagake beth jati hain or apna hath jodke kuch mantar padhne lagti hain har koi arundhati devi ko hairani se dekh raha tha varsha agni kii maa se kehti hain aunty hume agni ko hospital lejana hoga ushki tabiyat bohut hii kharab hoti jaa rahi hai agni kii maa kehti hain nahin beti agni ko agr ish waqt koi thik kar sakta hai to wo maaji hai or koi bhi agni ko thik nahin kar sakta kuch der mantar padhne ke baad arundhati devi apna hath age faila deti hain or unke hath me achanak ek flower ajata hai or sab ye dekhke hairan the or dekhte hii dekhte wo flower ek golden flower me badal jata hai ye dekh sab hairani se ek dushre ke muhn dekh rahe the phir arundhati devi apne bag se jadi buti kutne wale chiz ko nikal te hain or ushme wo golden flower,tulsi ke patte or ganga jal or kuch jadibuti milake kutne lagti hain or kutne ke baad wo ushe nikalti hai or jake ushmese kuch agni ko khila deti hain or baki bache hue dabai ko agni ke pure sarir pe laga deti hain or phir kehti hain bahu abb agni ko kuch nahin hoga bass kuch hii ghanto me wo hosss me ajaega or ushke sare jakham bhi thik ho jaenge or abb tum jao or mere liye garam pani ka bando bast karlo mujhe nahana hai phir agni kii maa rote hue kehti hain maaji agr ajj app na hote to agni ke maa ko arundhati devi bech me hii rokk deti hain or kehti hain are bahu ye kya keh rahi ho agr wo tumhara beta hai to mera pota bhi hai ab jao or mere liye pani garam karo agni kii maa kichen ke andar chali jati hain pani garam karne kuch ghatno baad sham ke 7 baje sab agni ke pass beth ke arundhati devi se baat kar rahe the agni ka jakham ab jyada tar bhar chuka tha ush chamtkari dabai ke wajah se lekin agni ko abhi tak hosh nahin aya tha deva or jagu bhi wahin bethe hue the deva arundhati devi se puchta hai dadiji ek baat bataiye ye agni ke andar kishki atma thi or wo ye kyun keh rahi thi ke wo sab agni ko mar denge or mujhe ushe bachana hai arundhati devi kehti hai deva beta agni ko koun marna chahta hai ye to agni hoss me ane ke baad hii bata paega kyunki ye jo kuch bhi hua hai ushke sapne me hua hai or jo agni ke andar thi wo ushke sapne ke jariye hii ushke sarir me ghusi hai or wo jo koi bhi hai wo koi atma nahin hai ye sunte hii sab chokk jate hain or sab arundhati devi se puchte hain kii agr wo koi atma nahin to wo kya tha arundhati devi kehti hain ye to mujhe bhi nahin pata ke wo kya tha lekin me itna hii keh sakti hoon ke wo koi atma nahin tha phir arundhati devi apne man me sochti hai mujhe maaf karna mere bachon me tumhe sachai nahin bata sakta kyunke ye sachai itni khatarnak hai kii wo tum logon ko nigal jaegi phir kuch der baad agni ka hath hilne lagta hai or ye baat varsha dekh leti hai or kehti hai lagta hai agni ko hosh araha hai sab agni ko dekhne lagte hain or kuch der baad agni ko hosss ajata hai
 

No comments:

Post a Comment